Marknadens största urval
Snabb leverans

Böcker av Ram Pratap

Filter
Filter
Sortera efterSortera Populära
  • av Ram Pratap
    270,-

    "Apradhchakra" ka arth hai - desh ke niyam aur kanoon ke vipreet kaary karte hye aise bhanwarjal men fans jana jiski parinati arthik,mansik,sharirik aur samajik xati hoti hjai. Apradhi ko antatah apne gunahon ki saja desh ke kanoon ke tahat bhugatni padti hai. Iske bavjood bhi insaan apradh karne se baj nahin ata hai . Vaise to is vishay ka dayara bahut vyapak hai par ham yahan sirf ek udaharan ke tour par un sattasin netaon, adhikariyon aur karmchariyon ka udaharan le sakte hain jo satta prapt h0ote hi satta ka durupy9o0g karte hue bhrash acharan men lipt ho jate hain aur tab shuru hota hai bhrashtachar ka apradhchakr. yah ek aisi praikriya hai jismen apradhi ek bar fans jay to us daldal se nikal pana mushkil ho jata hai aur wah dhansta hi chala jata hai. Antath iski parinati apradhi ko ek kashtsadhy nyayik prakriya se gujarana padta hai aur ghor mansik,sharirikl,arthik pareshaniyon ka samna karna padta hai aur pariwarik jeevan tahas nahas ho jtata hai. "Apradhchakr" aise he kahaniyon ka sangrah hai jo hamen jeevan men apradhik krityon se bachne ki sikh deta hai. Padhiye yah shandar kahni sangrah- "Apradhchakra"

  • av Ram Pratap
    266,-

    IS KAHANI SANGRAH MEN AAP PADHENGE PARAMVEER CHAKR VIJETA HAVALDAR ABDUL HAMID KI KAHANI JISNE PAKISTAN KE 8 TAINK BARBAD KAR DIYE THE,KAIPTAN BANA SINGH KI KAHANI JISNE SIYACHIN MEN BARF SE DHANKI 21000 FUT UNCHI CHOTI PAR CHADHAEE KARKE PAKISTAN SE POST WAPAS LE LIYA THA, LANS NAAYK ALBART EKKAA KI KAHANI , SIPAAHI JASWANT SINGH KI KAHANI JISNE AKELE HI 300 CHEENIYON KO MAUT KE GHAAT UTAAR DIYAA, KAIPTAN VIKRAM BATRA KI KAHANI JISNE OPRESHAN VIJAY MEN KARGIL KI CHOTIYON KO PAKISTANIYON SE CHHEEN LIYAA THAA,KAIPTAN MANOJ PANDE KI KAHANI JISNE SAAKSHAATKAAR KE DOURAAN KAHAA THAA "MAIN PARAMCVEER CHAKR JEETNE KE LIYE SENAA MEN JAANAA CHAAHTAA HOON" AUR UNHONE KAR DIKHAYAA ,SUBEDAR MEJAR YOGENDR YADAV KI KAHANI JO KARGIL YUDH MEN 17 GOLIYAN LAGNE KE BAVJOOD BHI PAKISTANI SAINIKON KO MOUT KE GHAAT UTAAR DIYA, LEFTINENT ARUN KHETRPAL KI KAHANI JINHONE DUSHMAN KE 4 TAINK BARBAAD KAR DIY AUR GHAAYAL HONE KE BAWJOOD BHEE RAN KSHETR SE WAAPS AANE KE LIYE YAH KAHTE HUYE MANA KAR DIYA. SIPAHI GURTEJ SINGH KI KAHANI JISNE NIHATTHE HI CHEENEE SENAA KE 12 SAINIKON KO MOUT KE GHAT UTAR DIYA, , BRIGEDIYAR KULDIP SINGH CHANDPURI KI KAHNI JINHONE 120 SIPAHIYO KE SATH 3000 SAINIKO SE MUKABLA KIYA AUR DUSHMANO KE 12 TAINK BARBAD KAR DIYE, JANARAL SAGAT SINGH RATHOR KI YUDH NITI JISNE BHARAT-PAK YUDH MEN 93000 PAKISTANI SAINKON KO AATMSAMARPAN KE IYE MAJBOOR KAR DIYA .

  • av Ram Pratap
    266,-

    JUNUN WO UDDAM ICHCHHAA HAI JO EK INSAAN KE SEENE MEN SUSHUPT JWAALAAMUKHEE KEE TARAH ANDAR HEE ANDAR AAG SULGAATEE RAHTEE HAI, AAG KAA DARIYAA BAHTAA RAHTAA HAI.JAB JWAALAA DHADHAKANE LAGTEE HAI TO DHARTEE KAA SEENAA CHEERKAR LAPTEN BAAHAR NIKALNE LAGTEE HAIN, LAAWAA BAH NIKALTAA HAI. TABHEE LOGON KO USKEE GARMEE AUR TAAKAT KAA EHSAAS HOTAA HAI.YAHEE JUNUN HAI JO INSAAN KE SEENE MEN DHADHAKTAA HAI .IS SHABD KAA PRAYOG ALAG ALAG SANDARBHON MEN ALAG ALAG TAREEKE SE KIYAA JAATAA HAI.MAINE PRERNAADAAYAK KAHAANIYON KE MAADHYAM SE YAH KAHNE KEE KOSHISH KEE HAI KI EK INSAAN KE LIYE JUNUN KE MAAYNE KYAA HAIN.IS DUNIYAA KAA POORAA ITIHAAS HEE INSAANEE JUNUN KAA GAWAAH HAI.AADIM AWASTHAA SE AADHUNIK INSAAN BANANE KEE KAHAANEE JUNUN SE BHAREE PADEE HAI.IS KAHAANEE SANGRAH KEE HAR EK KAHAAEE PRRERNAADAAYAK HAI.IN KAHAANIYON KE MAADHAYAM SE AAP JAAN PAAYENGE KI VIPREET HAALAATON MEN BHEE AAP APNE ANDAR KE JUNUN KEE AAG KO KAISE JALAAYE RAKHEN ......

  • av Ram Pratap
    250,-

    KHUSHI KEE KAHANI KE MADHYAM SE KHUSHI KE HAR PAHLUON KO SAMJHAANE KI MAINE KOSHISH KI HAI. IS KAHANI KI NAYIKA "KHUSHI" HAI JO JIVAN BHAR KHUSHI KI TALASH KARTI HAI PAR BACHPAN SE HI USE GHOR KASHTON KA SAMNA KARNAA PADTAA HAI,USKE JIVAN MEN SANGHARSH HI SANGHARSH HAI, NIRASHAA HI NIRASHAA HAI. WAH FIR BHI HAAR NAHIN MAANTI. WAH HAMESHAA PRAYATNSHEEL RAHTI HAI IS UMMEED SE KI USE KHUSHI MILEGI PAR USE KHUSHI NAHIN MILTI.JAB USNE KHUSH HOKAR KHUSHI KI TALAASH KI TO USE KHUSHI BHI MILNE LAGI AUR "AANAND" BHI. SHAAYAD YAHI HAR EK KE JIVAN KI SACHCHAAEE HAI. YADI IS KAHAANI KO PADHKAR AAPKO JARAA BHI KHUSHEE MILI TO MAIN SAMJHOONGAA KI9 MERA PRAYAAS SAFAL RAHAA KYONKI AISI KAHAANIYYAAN LIKHNE MEN ,MUJHE "KHUSHI" MILTI HAI. AB AAP KHUD NIRNAY KAREN KI AAPKO KHUSHI KAISE MILEGI

  • av Ram Pratap
    270,-

    Nari-Mahima vishw kee un mahaan naariyon kee kahaanee hai jinhe apne jeevan men ghor vipattiyon kaa saamnaa karnaa padaa. jeevan ke path men wo har kadam par sangharsh kartee raheen .vipreet paristhitiyon ke baavjood bhee unhone apnaa houslaa kam naheen hone diyaa. pariwaar se, samaaj se unhe ghor upekshaa aur prataadnaa sahane ko milee par wo apne nirdhaarit laxy se vichlit naheen hueen .unhe apne aap ko saabit karne ke liye apne praanon tak kaa utsarg bhee karnaa padaa par we peechhe naheen hateen .wo apane junoon ko pagalpan kee had tak le gaeen aur antat: apne laxy ko haasil kar liyaa .unkee yahee uddaam ichchhaa aur satat prayaas ne unhe itnee unchaaee tak pahunchaayaa kee wo aaj desh aur duniyaa ke insaanon ke liye prernaasrot ban gaeen .padhiye in mahaan naariyon kee sangharsh gaathaa-Nari-Mahima.

  • av Ram Pratap
    300,-

Gör som tusentals andra bokälskare

Prenumerera på vårt nyhetsbrev för att få fantastiska erbjudanden och inspiration för din nästa läsning.